ا لسلا م علیکم و ر حمتہ ا للہ و بر کا تہ !
••••••••••••••••••••••••••••••
::::Mansab Amanat hai::::
Islaam ka har hukm aur musalman ki har chiz uske paas ALLAH TA’ALA ki amanat hai. Iss hukm ka talluk kisi gair ki milkiyat se ho ya apni zaat se, duniyavi mamlaat se ho ya mazhabi ibaadat se, kisi ohde se ho ya ikhteyaraat se, algarz humari zindagi ki har saans, humare muh ka har bol aur humare haath ka har fe’al humare paas amanat hai. Aur kisi bhi amanat ka haq usi waqt adaa ho sakta hai jab usko pure aadab k saath adaa kiya jaaye aur usme kisi kism ki kami besi aur na insafi na ki jaaye. Iss hukm me amir wa garib aur hakim wa mahkum sab barabar k jimmedar hai.
Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Ta’ala Anhuma bayan karte hai k unhone RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko farmate huye suna “tum me se har shakhs jimmedar hai aur har shakhs se uske maathet logo k bare me sawal kiya jayega, baadshah apni riya’aa ka jimmedar hai aur usse uski awaam k bare me sawal kiya jayega, mard apni biwi ka jimmedar hai usse uske ghar k bare me sawal kiya jayega, khaadim apne m,aalik k maal ka jimmedar hai aur usse us maal k mutallik sawal kiya jayega, ek shakhs apne baap k maal ka jimmedar hai aur usse us maal k mutallik sawal kiya jayega. Aur tum mese har shakhs jimmedar hai har shakhs se uske maathet logo k mutallik sawal kiya jayega.”
(Bukhari)
0 comments:
Post a Comment