Followers

Showing posts with label Dini Batein. Show all posts
Showing posts with label Dini Batein. Show all posts

Friday, August 29, 2014

Jannat Me Darakht Lagaiye

Jannat Me Darakht Lagaiye

Hazrat Abu Huraira radi Allah Se Riwayat He Ke
Wo Ek Darakht Laga Rahe The
Itne Me Rasul Allah Sallallaho Alayhi Wasllam 
Un Ke Paas Se Guzre To
Aap Sallallah Ne Farmaya Ke
Aye Abu Huraira Kis Ke Liye Darakht Laga Rahe Ho?????
Hazrat Abu Huraira Ne Jawab Diya Ke
Apne Liye Darakht Laga Raha Hu To
Aap Sallallah Ne Farmaya Ke
Kiya Me Tumhe Is Se Accha Darakht Na Batau????To
Hazrat Abu Huraira Ne Arz Kiya Ke
Aye Allah Ke Rasul Q Nahi Zaroor Batlaiye To
Aap Sallallah Ne Farmaya Ke
Kaho

Subhanallah
«Allah Paak He»

Allhamdulillah
«Sab Tareef Allah Ke Liye He»

Laailaah Illallaho
«Allah Ke Siwa Koi Ma'abood Nahi»

Allaho Akbar
«Allah Sab Se Bara He»
Ye
Kehne Par Tumhare Liye Har Kalme Ke Badle Me Jannat Me Ek Darakh Lagaya Jayega

Reference
[ Ibn e Majah ]

Subhanallah....

So Dosto Kam Az Kam Din Me Ek Martaba Keh Liya Karo or
Agr Allah Taufeeq De To
Har Namaaz Ke Baad Ek Martaba Keh Liya Karo

Allah Amal Ki Taufeeq De...

Saturday, July 19, 2014

Ranj Me Aasman Barabar Ke Gunaah Bhi Muaf …..

: (Bismillah_Hirrahma
_Nirrahim )
Ranj Me Aasman Barabar Ke
Gunaah Bhi Muaf …..
» Hadees E Mubaraka.
Huzur (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ka Irshad-E- Girami Hain Ki,
“Agar Tumne Aasmaan Ke Barabar Gunaah Kerliye Aur Fir
Sharminda Hoker Tauba Kerli Toh Allah Ta’ala Tumhari Tauba
Qubool Kerlega!
Aur Farmaya,
“Aadmi Gunaah Karta Hain Fir Usi Gunaah Ki
Wajahse Jannat Me Dakhil Hota Hain! Pucha Gaya Huzoor Wo
Kaise?”
(Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Farmaya, “Gunaah Ke Baad Fauran Uski Aankhen
Allah Ta’ala Ke Darbar Me Aansu Bahaati Hain!”.
-: (Mukashfatul Kulub, Pg-123)
"ALLAHUMMA SALLIALA SAYYEDNA
MUHAMMADIM BIADADI KULLI
ZIKARIHI ALFA ALFI MAR-RATIN"

Jo Shaks 5 Chizen Rokega, ALLAH-TA'AALA Usse 5 Chizen Roklega!


HADEES«•
*************
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya Jo Shaks 5 Chizen Rokega, ALLAH-TA'AALA Usse 5 Chizen Roklega!

(1)Jo Zakaat Rokega, ALLAH-TA'AALA Aafaton Se Uske Maal Ki Hifazat Ko Roklega,

(2)Jo Zamin Ki Paidawar Ka 10wa Hissa Roklega, ALLAH-TA'AALA Uski Tamaam Kamayi Ki Barkat Roklega,

(3)Jo Sadqa Rokega ALLAH-TA'AALA Uski Aafiyat Ko Roklega,

(4)Jo Sirf Apne Nafs Keliye Dua Karega, ALLAH-TA'AALA Usse Qabuliyat Ko Roklega,

(5)Jo Namaz Keliye Jamaat May Haazir Hone Se Rukega, ALLAH-TA'AALA Usse Imaan Ke Kamaal Ko Roklega! Yani Uska Imaan Kaamil Na Hoga!

(Jubdatul Wayizeen)
(KAJH Pg-661)

Behtarin Dost Woh Hai

Behtarin Dost Woh Hai Jiska Dekhna Tumhe Allah Ki Yaad Dila De,
Jiski Guftagu Ilm Me Ezafa Kare, Aur Jiska Har Amaal Aakhirat Ki Yaad Dilaye
» Matlabi Dost Koyle Jaisa Hota Hai, Jab Koyla Garam Hota Hai Toh
Hath Jala Deta Hai Aur Jab Thanda Hota Hai Toh Hath Kaale Ker Deta Hai.
Hazrat Ali (Razi Allahu Ta’ala Anhu)

» Sab Se Zyada Kamzor Aadmi Wo Hai, Jo Dost Ko Hasil Kerne Me Nakaam Ho.
Aur Uss Se Bhi Zyada Kamzor Wo Hai Jo Hath Aaye Dost Ko Ganwa De..!!
Hazrat Ali (Razi Allahu Ta’ala Anhu)

» Dost Ki Dosti Tumhen Ye Ikhtiyar Nahin Deti Ke,
Tum Apne Doston Ko Bure Lafzon (Alqaab)Se Bulaao Ya Yaad Karo.Hazrat Jalaluddin Roomi(Razi Allahu Ta’ala Anhu)

Maut or qabra ka bayan----

Maut or qabra ka bayan----


har shakhsh ki umra muqarrar he na use ghatti he na badti he jab jindagi ka waqt pura ho jata he to izrael alaihissalam ruh nikalne ke liye aate he
us waqt marne wale ko right ya left jaha nazar jaye farishte hi dikhai dete he.musalmaan ke pas rehmat ke farishte hote he or kafir ke pas azab ke
us waqt kafir ko bhi islam ke sachche hone ka yaqin ho jata he .lekin us waqt ka imaan motabar nahi qki imaan to allah wa rasool ki batayi bato
per bina dekhe yaqin karne ka naam heor ye to farishto ko dekhkar imaan lata he isiliye aese imaan lane se musalmaan na hoga .
musalmaan ki ruh aasani se nikali jati he or usko rahmat ke farishtey izzat ke sath le jate he or kafir ki ruh badi sakhti se nikali jati he or azab ke farishtey badi zillat ke sath le jate he marne ke baad ruh kisi dusre badan me jakar fir paida nahi hoti balki qayamat aane taq duniya or aakhirat ke bich ek aalam he jise aalame barzakh kahte he
marne ke baad qayamat aane taq tamam insano or zinno ko hasbe maratib usme rehna hoga yah aalam is duniya se bahut bada he
yah manna ke aadmi ki ruh dusre badan me chali jati he kufra he ..

Ikhtiyar E Nabi

Ikhtiyar E Nabi
Gazwa-e-Khaiber Ko
Jate Hue Hazrat Aamir
Ibnul Akwa Razi-Allahu-
Ta' aala-Anhu Kuch
Ashaar Parh Rahe The
.
NABI PAK SALLALLAHU
TA'ALA ALAIHI
WASALLAM Ne Un
Ashaar Ko Sunkar
Farmaya, Yeh Kaun
Hai?
.
Sahaba-e-Kiraam
Ne Arz Kiya, Ya
RASOOLALLAH!
(SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM) Ye
Aamir Hai
.
NABI PAK SALLALLAHU
TA'ALA ALAIHI
WASALLAM Ne
Farmaya,
Ispar ALLAH
Rehmat Farmaye,
Aur
Chuki NABI PAK
SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM Aisi
Jagah Kisi
Khaas Shaks Ke Liye Dua-e-Rehmat Farmate The
To Wo Shaks Shaheed
Hojata Tha
.
Isliye
AAP SALLALLAHU
TA'ALA ALAIHI
WASALLAM Ka Yeh
Faisla Sunkar Hazrat
Farookh-e-Aazam
Razi-Allahu-Ta'ala-
Anhu Bol Uthe,
Ya Rasoolallah! Aapne
Hame Inse Nafa Kyo
Na Lene Diya?
Ab To
Yeh Is Jihaad Me
Shaheed Hojayenge, Aap Inhe Abhi
Zinda Rakhte Taaki Ham
Inse Faida Haasil Karte
(Bukhari Sharif,
Page-603)
.
Sahaba-e-Kiraam Razi
Allahu Ta'ala Anhum
Ka Imaan Tha Ki NABI
PAK SALLALLAHU
TA'ALA ALAIHI
WASALLAM Jis Shaks Ko
Zinda
Rakhna Chahe, Zinda
Rakh Sakte The
.
Jiske
Mutaallik Kisi Mauke Par
Farma De Uske Liye
Shahadat Wajib Hojati
Hai
.
Fir Jo Shaks Yeh
Kahe Ki Rasool Ke
Chahne Se Kuch Nahi
Hota To Wo Kis Qadr
Jaahil Hai?
Yasin dosani

Qayamat Ke Din Teen(3) Shaks Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge

Ek Riwayat Me Aata Hai Ki,
Sarkar-e-Do Allam (Sallallaho Alayhi Wasllam) Irshad Farmate Hain:
“Qayamat Ke Din Teen(3) Shaks Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge, Jis Din Ke Uss Ke Saaye Ke Siwa Koi Saaya Na Hoga.
Sahaba Kiraam (Razi Allahu Anhu) Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah! Wo Khush Naseeb Koun Hain. Aap(Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya:
∗1. Ek Wo Jis Ne Mere Kisi Musibat Zadah Ummati Ki Pareshani Door Ki.
∗2. Dowwam Wo Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya.
∗3. Teesra Wo Shaks Ke Jis Ne Mujh Par Durood-e-Paak Ki Kasrat Ki.
(Al Qholul Badi/123)-Sa’atud Darean/63
yasin dosani

 
Twitter Bird Gadget